Cryptocurrency Bitcoin Price Mining
Cryptocurrency Bitcoin Price Mining
Bitcoin (BTC)
Is Blog ka maqsad Awam ko Bitcoin ki kuch maloomat farhan
krna hai. Is Blog mein Bitcoin ki starting price se lay kar ab
tak ki price batae gae hain aur in future ye kahan tak jasakta
hai wo bhi prediction ki gae hai.
Crypto currency ka bay taaj baadshah
Bitcoin aik open source coin hai yaani isko mukammal
control
karnay ka ikhtiyar kisi aik banday ke pass nahi
Isko awam yani public ke liye design kia gaya ha
Aur har koi jiskay pass internet aur valid Wallet ki sahoolat
hai wo bina kisi madakhlat aur rukawat ke yaani bina kisi
bank ko shamil kiye 24/7 isko sale purchase karsakta ha.
ismein
participate karsakta hai
Bitcoin Wallet aik software program hai jo computer mobile
ya iske liye makhsoos ki gae devices per chalta hai isi wallet
ke zarye Bitcoin ko aik jaga se dusri jaga mehfooz tariqay se
aasani ke sath muntaqil kiya jasakta
hai.
Bitcoin ko 8 choti ikaeyon (units) mein divide kia jasakta hai
jinhen Satoshi kaha jata hai jisko is tarha zahir kiya jata hai
0.00000001 BTC
Bitcoin Crypto wallet se purchase kia jasakta hai aur
mukhtalif apps ke zarye Auto Mining kr k bhi isko collect kia
jasakta hai.
Is waqt market mein bohat se online apps available hain
jinhen apnay mobile mein install kr k different task complete kr k jese ke
Faucet claim
PCT views
Short links
Offerwalls
Create Ads
Auto Claim waghera ke zarye collect kiya jasakta hai
Games khel kr collect kia jasakta hai. In mein bohat se apps
paid yani with investment aur bohat se aps unpaid yani
without investment hoti
hain.
Bitcoin nay financial aur Banking ki History ko badal kar
rakh dia bohat see haqeeqaton se isnay parda othadia isnay saabit kiya ke dunia
ke bara bary bank bhi nakam hosaktay hain.
Bitcoin ki qeemat daramae tour per chage hosakti hai yaani
kuch seconds ya kuch minute pehlay kuch aur jab ke kuch
seconds aur kuch minute
baad kuch aur.
Bitcoin ki 2009 mein qeemat 0.0009 Dollar thee yani
Pakistani
25 paisay ke barabar 1 coin tha.
2012 Bitcoin ke liye bohat lucky year sabit hua jab isnay 13.3
Dollar se business start kiya aur April tak 100 Dollars aur
October tak 200 Dollar ko cross kargaya aur 2016 ke
December tak 963.74 Dollar per band hua
2024 ke start se he Bitcoin ka rate tezi ke sath increase hua ha
aur March ke start tak he 60,000 Dollar tak ponhach gaya hai
jab ke tijarti halqon mein kaha ye jaraha hai ke 2025 tak
Bitcoin 65,000 Dollar tak aur 2030 tak 160,000 Dollar tak
ponhach sakta hai.
Bitcoin ka sabse bara competitor is waqt Ethereum hai jab ke
Bitcoin is waqt Traders ke liye sabse ziyada favorite currency
bana hua ha kiun
ke ye sabse ziyada Market Cap rakhta hai
Hum umeed kartay hain ke
is blog ko read krnay ke baad apko Bitcoin ke baray mein
kafi had tak maloomat hasil hojaengi.
Thanks for coming my blog
1st March, 2024
0 Comments:
Post a Comment
Subscribe to Post Comments [Atom]
<< Home